Afsos reh gayi bas is baat ki
(Unki) zindagi mein jagah
na bana paye apni
Sab kuch dekar bhi
khone ke gam se zyada
gam hain is sacchai ka
ke hoga wahi jo chahe khuda
phir chahe koshishe ho lakh
Aaj bhi hain tanha
ye dil-e-nadaan yun rota
Jo wafa ko tarapti reh gayi
Par bewafai bhi na pa saki
Ab aur kaunsa manzar
reh gaya baaki
Jo na dekhi samjho ho?
Par har guzarta din
isi nakaami ko dohrata
aur kehta ke
hain abhi bahut kuch baaki,
jab doobne ki khwahish mein
hadh ki zarurat na samjhi
tab dekho, aur kahan kahan,
kidhar kidhar le chale hain
tumhe... ye saaki
No comments:
Post a Comment